Tuesday, May 10, 2011

khwabon ka dank ...



roz chali aati ho, dabe-panv mere bistar pe,

na koi aahat, na koi dastak,

badi chalak ho.. payal bhi nahin pehnti,

koi bandish pasand nahin tumhe,

sarhadon ke bare me bhi kabhi suna hai ?

badi besharm ho.. har raat aa jati ho,

sarak jati ho mere chadar me, aur jakad leti ho mujhe... kass ke,

mano iss raat ke baaz nazar se koi darr nahin tumhe,

darrogi bhi kyun?..

raat pighalte subah na jane kiss duniya me gum ho jati ho,

hamari duniya me aankhen kholti to jaan leti...

jaan leti ke raat ki ye khumari, kitni khatarnak hai.

tum toh kandhon par pank laga deti ho,

uddne ko bebas karti ho,

tum kya jaano ke yahan aasman par bhi hadhen bichi hui hain,

hamari duniya shiddat ki duniya hai, kashmakash ki duniya hai,

yahan sarhadein bhi hain aur bandishen bhi,

hum apni khidkiyon par parde lagate hain,

hamare yahan darwaze hain, jo sabke lie nahin khulte,

uddne ki ijaazat nahin humen,

par tezi ke bagair kam nahin chalta,

jhak marke daudna hi padta hai.

issi daud se kuch pal churakar aa girta hun iss bistar pe,

yahin milta hun tumse.. iss raat ke jungle me,

issi raat ka hissa ho tum,

issi ki tarah bekarar aur zehreeli,

roz zara sa zeher aur pila jati ho,

par sach kahun to.. zeher ke ghoot pilakar hi sahi,

mujhe zindagi tum hi deti ho,

roz chali aati ho, dabe-panv mere bistar pe,

aur khwabon ka dank marrti ho... ...


Related Posts with Thumbnails