Tuesday, September 6, 2011

Aaj Tum Nahin Aaye ...



aaj tum nahi aaye...


na jane kyun... par aaj tum nahin aaye,

kai lamhe raakh hue intezaar me,

jaane kitne khwaab gawaye maine...

par aaj tum nahin aaye...


aakhon ko zara neend si lagi , malte malte jagaye rakkha,

hasrat se takkta raha wo veeran khidki, // (hasrat = longing)

Uspe jami dhundh paari se hatata raha... // (paari se = periodically)

par aaj tum nahin aaye...


jo hoti koi dastak to bechain ho padta, kisi chetna ke sath

khidki ke har kone me tumhari parchai dhoondhta rehta,

aaj bhule bisre kisi dost ne di dastak, kiya yaad...

par aaj tum nahi aaye...


doston ne bujha di battiyan, kaha so jaa,

par ek mombatti jalake maine barkaraar rakhi roshni,

parwane kai jal gye shama ke sparsh se, hum bhi taiyyar baithe the... // (parwane=flies)

par aaj tum nahi aaye...


choti choti jhapkiyan maari, tumhari kuch jhalkiyan

batori toote toote khwabon me,

har khwaab adhoora hi tod diya,

tumhe poora pooral dekhne ki chah me...

par aaj tum nahin aaye...


na jane kab ye kambakht neend das gayi,

kab nazar laparwah hui, kab mombatti pighal gayi...


neend ki chaadar jo aadhi raat gaye sarki, mai sehsa jhatpataya,

uthkar dekha to khidki ke sheeshe khule the ab bhi...

laprwahi par kuch chidh gaya khud se, kuch darr gaya zara

poocha khuli khidki se - "kahin wo aakar chali to nahin gayi?"....


kya aaj tum nahin aaye ?



............

3 comments:

Unknown said...

Great writing...keep the good work coming! =D

vishakha rai said...

after a long tym visited ua blog....feels nice..:) <3

Unknown said...

wow nyc one... like it a lot..

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails